Hamare sheher mein ek tooti mazaar hai,
Chaaron taraf jiske phaili bahaar hai
Lagta vahan par ghamon ka bazaar hai,
Girti usi jagah mere ashkon ki phuaar hai
Us mazaar ka yeh ajeeb taur-e-izhaar hai
Na shama hai na gul, na koi sogwaar hai
Duniya mein usey mile log beshumaar hai
Zindagi ab bhi kyun uski tanha bazaar hai
Haal mein yeh dil kuch beikhteyaar hai
Chaahta hai jo yeh iski kismet ke paar hai
Badkar thaam le usko gar tu uska yaar hai
Sheher voh hai uska dil uski mazaar hai.
some gazals of him never gets old...
ReplyDeleteGood choice of gems...
took time from busy life,to listen them after a long time.
Thank you so much for refreshing my memories..
Very touching piece of poem too...