Usne kaha mere baare mein
kuch kaho
maine kaha... ek samandar...
tumhaare bare mein sochta
hun to
ek samadar dikhaai deta hai
gehra paani, neela aasmaan
aur door ek panchhi
main yahaan kinaare par uski
udaan ko dekhta rehta hun
kabhi samandar ke kinaare aa
kar koi tinkaa uthha leti
kabhi kinaare par apna ek
pankh chhod jaati
aur main us pankh ko apni
zindagi ki kitaab mein saja leta
ek book mark ki tarah
bas isee tarah us panchhi ko
dekhte tamaam umr guzar gayi…
wow.......amazing way of expressing...u make the reader to float.on the waves......of yadoon k samander me....
ReplyDeleteAge is not a barrier to love!!!!!!!!!!!!!
ReplyDeleteSimple, Amezing and Touching...: )
ReplyDeleteWhy you make me cry?Thats What I love about your post.Its so touching and emotional.I think its one of the best poem you have written so far.
ReplyDeleteI think,It deserve "Jo Shayaad Muje Kabhi Bhool na Paya Ho" title.
Moving...
ReplyDelete