I hope you like this, if not for the matter, at least for the rhyme...
Yakinan zaraa bhi aitebaar ke kaabil nahin hun main,
Besabab tere pyar ke kaabil nahin hun main.
Main vo hun jisko jab jee chaaha raund gaya wakt,
Zamaane ke is chalan se ghaafil nahin hun main.
Maine kab tumhen samandar ki daawat di thi,
Har doobti kashti ka saahil nahin hun main.
Gaur se dekho, chhupa raha hun ek zakhm kabse,
Khoon hai daaman pe, kaatil nahin hun main.
Zaahir karun tujhpe, kabhi apna raaz-e-maayusi,
Mujtarib na ho mujhse, itna sangdil nahin hun main.
Kab tak talaash karoge meri nazron mein mujhko,
Khud apne aap ko haasil nahin hun main.
Talaash se meri ab tak ashk hi mile hain lekin,
Thak kar ruka hun, buzdil nahin hun main.
Tanhaai se apni kaafi mutmayeen hun main,
Bhir mein khara hun, shaamil nahin hun main.
This one is the best so far.... lovely. loved every word of it.. keep writing!
ReplyDelete