Ya... Rehne Dun

(Chapel of The Living Water, Purulia, 1938)
 
Jazb karke gham tere, gul khilaake shaakh par,
Tera ik din mehka dun, ya phir rehne dun.

Dil mein na ho aah koi, na ho koi raat syaah,
Ek shama ghar mein jala dun, ya phir rehne dun.

Jaane kal le ude baad-e-sabaa mujhe kahaan,
Chand lamhen tere chura lun, ya phir rehne dun.

Tabassum ho labon pe, raah ho aasaan teri,
Ashk palkon se sukha dun, ya phir rehne dun.

Dikhaakar chand zakhm dil ke, kuch ashk apne chhalkaakar,
Tere dil ko halk kar dun, ya phir rehne dun.

Taaluq koi zarur ho, iski koi zarurat nahi,
Be-taaluq tera kabhi ho sakun, ya phir rehne dun.

1 comment:

  1. Sometimes it's difficult to put words to what heart feels. But it amazes me how beautifully you string your words together. And yes, there is no need for a bond or relationships to have a true and pure connect with someone. It's the trust and alignment of heart and mind that matters. Thank you for this post.

    ReplyDelete