(Satan Beer - An invitation sent by a friend from Singapore) |
Mil baithenge hum bhi, mainoshi ke bahaane se.
Rok kar sar-e-raah kah denge haal-e-dil tumko,
Rok kar sar-e-raah kah denge haal-e-dil tumko,
Kitne zakhm mile, tumhaare mujhpe muskuraane se.
Chaaho to maang lo mera dil, meri nazren mujhse,
Chaaho to maang lo mera dil, meri nazren mujhse,
Zaahir nahin meri hasrat, gar mere samjhaane se.
Sukoon se hun ab main, baaki sab kuch mitaakar,
Sukoon se hun ab main, baaki sab kuch mitaakar,
Lootega kya koi kuch bhi, meri yaadon ke khazaane se.
Raah se tumhaari jo maine churaaye they kabhi,
Raah se tumhaari jo maine churaaye they kabhi,
Wahi kaante milenge tumhen mere sirhaane se.
Khud hi khada hua hun, nilaam karo mujhe,
Khud hi khada hua hun, nilaam karo mujhe,
Yun to kya bikunga main, tere laakh manaane se.
Mujhko kaho tum bhi jo duniya ki hai kahaani,
Mujhko kaho tum bhi jo duniya ki hai kahaani,
Chaen hai mujhe ab milta dil apnaa dukhaane se.
Amazing!! Love your poems... 😊 keep writing
ReplyDelete