Kitni koshish, meri anginat tauba ke baad bhi,
Har syaah raat aur usse syaah subah ke baad bhi.
Is kashmakash mein ki yeh meri galti hai ya gunah hai,
Allah ki aazmaayish hai ya yeh jaal maine bunaa hai.
Ek taraf chal diya raaste paata raha manzilen khota raha,
Har badhte haath ko thaamta har kandhey pe rota raha.
Har rishtey ko parakhte sach jhhoot mein tolte,
Kai baar khud ko bahlaaya dil ke tukde jodke.
Ab sochta hun ki main kahin ruk jaaun
Tanhaa theher kar un ka intezaar karun.
Un parindon ka jinke paron ke zhakhm maine bhare,
Un gulon ka jinke kaanton ke zhakhm ab bhi hain hare.
Un titaliyon ka jinhen bachhon se maine chhudaaya,
Hiran ke un bachhon ka shikari se jinhen bachaaya.
Un naavon ka jinhen majhdaar mein logon ne chhoda,
Un kishtiyon ka jinke patwaar ko kisi ne toda.
Un gumsum chehron ka jinki tabassum mujhse thi,
Sookhe patton ka jinki shabnam mujhse thi.
Un titaliyon ka jinhen bachhon se maine chhudaaya,
Hiran ke un bachhon ka shikari se jinhen bachaaya.
Un naavon ka jinhen majhdaar mein logon ne chhoda,
Un kishtiyon ka jinke patwaar ko kisi ne toda.
Un gumsum chehron ka jinki tabassum mujhse thi,
Sookhe patton ka jinki shabnam mujhse thi.
Intezaar karun un khaton ke jawaabon ka jo maine likhe hi nahin,
Un khwaabon ki taamir ka jo mere siva kisi ko dikhe hi nahin.
Naye puraane dost sharton pe rishte nibhaate hain,
Kuch hain jo dosti mein bhi ahsaan sa jataate hain.
Ya phir sab bhool jaaun aur phir wahi silsila rehne dun,
Kaun mera, main kiska, ek gorakh dhanda rehne dun...
Very well written joy, there is power and great intensity in your piece. Bahut Khoob!
ReplyDeleteThe Great quality about your writing is, making reader feel all kind of emotions from beginning to end. That's why I love your piece of work. Please write more,something, anything....but soon.
ReplyDeleteCan't wait ...
Another beauty from your treasure trove.... I love your poems.... Simple yet heartfelt. The title reminds me....ho bhi nahi ..aur har jaa ho..tum ek gorakh dhandha ho... Waiting for more poems.
ReplyDeleteUstad Nusrat Fateh Ali Khan Saheb has sung the sufi masterpiece Tum Ek Gorakhdhanda ho. My writing is about human relationships, just an attempt...nothing compared to the original...
ReplyDeleteAgreed!nobody can even come close to the maestro..the only comparison is the title.
Delete