THE LUNAR EFFECT

 Sookhe patte paun tale  karhaate rahe,
 Aur main besabab yunhi chalta rahaa,
Suraj ugtaa rahaa, shaam hoti rahi,
Din rat mein yunhi dhalta rahaa.

Zindagi ki is udhedbun mein,
Kaun hai paas  kaun dur mein,
Kis ke liye jeeta tha main,
Sochta hun kyun kabhi bhulta raha.

Kanwal sa khilaa yaad ki jheel mein,
Kabhi naanv sa lehron mein dikha,
Aankhen meri nam hoti rahi,
Kinaara baad mein pighalta rahaa.

Main taktaa rahaa hun tujhe raat bhar,
Ai mahtaab tu bhi to kabhi gaur kar,
Tere badhne aur ghatne ke silsile,
Main dekh hans diya kabhi rota rahaa.

5 comments:

  1. pain and love...nice combination....beautifully written....

    ReplyDelete
  2. I really like the picture and very cleverely choosen the word for your post " The Lunar Effect".

    The Best bit for me is,

    "Zindagi ki is udhedbun mein,
    Kaun hai paas kaun dur mein,
    Kis ke liye jeeta tha main,
    Sochta hun kyun kabhi bhulta raha"

    and cannot resist to say this one also...

    "Main taktaa rahaa hun tujhe raat bhar,
    Ai mahtaab tu bhi to kabhi gaur kar,
    Tere badhne aur ghatne ke silsile,
    Main dekh hans diya kabhi rota rahaa"

    I think ,I love it whole..
    Its mindblowing ,how you write.
    Its very touchy ..
    very very very well done as always

    ReplyDelete
  3. agree... moon affects each one of us..in some way or the other.each phase brings a different emotion.. it intoxicates us, makes us fall in love, consoles us ,reminds us of a lost love...in a way making each one of lunatic.

    ReplyDelete