TANHAAI

(Image - My glass of Guinness with a touch of Stella.)
 Raat shabnam dabe paaunv phulon ko jo chhu aayi,
Jaam -e- gham se bhar gayi, meri khaali si tanhaai.

Haasil hai sirf mujhko raaz -e- zindagi ay waaez,
Chaahe to tu bhi le le, meri thodi si tanhaai.

Bazm mein aaye sabhi saath liye saath ka,
Mere saath to chali aayi, meri tanha si tanhaai.

Zaroor uska bhi hashr vahi hua hoga,
Unski aankhon mein dikhti hai, meri apni si tanhaai.

Khwaab mein haasil ya maut mein mayassar hogi,
Vo safed chaader ki jaisi, meri pehli si tanhaai.

Yaadon ki barsaat mein khwaahishon ke bulbule,
Raat jab nazar dhundhalaati hai, meri abr si tanhaai.

Aaina -e- dil ki sard os par tera naam aksar,
Likh kar mita deti hai, meri bebas si tanhaai.

Bardaasht na ho saki jab uski berukhi,
Mujhse lipat ke ro padi, meri naazuk si tanhaai.

3 comments:

  1. "Bardaasht na ho saki jab uski berukhi,
    Mujhse lipat ke ro padi, meri naazuk si tanhaai"

    ah...what a lines..brilliantly describes the phases of tanhai...great job....

    ReplyDelete
  2. Very Beautiful Poem...Very emotionally written..well done..:)

    ReplyDelete
  3. Some people come into your life..ignite the fire and then leave you to burn alone..beautiful poem.

    ReplyDelete