JO SHAAYAD MUJHE BHOOL GAYA HO

Usne kaha mere baare mein kuch kaho
maine kaha... ek samandar...


 tumhaare bare mein sochta hun to 
ek samadar dikhaai deta hai
gehra paani, neela aasmaan
aur door ek panchhi


 main yahaan kinaare par uski udaan ko dekhta rehta hun
kabhi samandar ke kinaare aa kar koi tinkaa uthha leti
kabhi kinaare par apna ek pankh chhod jaati
aur main us pankh ko apni zindagi ki kitaab mein saja leta
ek book mark ki tarah

 
bas isee tarah us panchhi ko dekhte tamaam umr guzar gayi…

5 comments:

  1. wow.......amazing way of expressing...u make the reader to float.on the waves......of yadoon k samander me....

    ReplyDelete
  2. Age is not a barrier to love!!!!!!!!!!!!!

    ReplyDelete
  3. Simple, Amezing and Touching...: )

    ReplyDelete
  4. Why you make me cry?Thats What I love about your post.Its so touching and emotional.I think its one of the best poem you have written so far.
    I think,It deserve "Jo Shayaad Muje Kabhi Bhool na Paya Ho" title.

    ReplyDelete