GAR IJAAZAT HO


Izhaar -e- bandagi kar lun, ya phir rehne dun,
Khud mitkar tujhe sajda kar lun, ya phir rehne dun.

Mera maazi yakinan meri buzdili ki kahani hai,
Aaj bikharkar nayi ibteda kar lun, ya phir rehne dun.

Maana har jism ka anjaam khaakh hai mahshar mein,
Apne dil ko abhi se patthar kar lun, ya phir rehne dun. 

Gar mera tarjuma hi talaash hai teri,
Khud apne ko aasaan kar lun, ya phir rehne dun.

Alag hai rehguzar alag kaante phir bhi,
Tere gham ko kuch halka kar lun, ya phir rehne dun.

Yun to tu bhi tanha hai meri rusvaai ki tarah,
Sochta hun tujhe apna kar lun, ya phir rehne dun.


3 comments:


  1. Jab pyar hota hai,to baas ho jata hai...
    pyar mein insaan kya kya karta hai...
    but I think ek chij jo pyar mein nahi karne chaiyein, vo hai apne emotions ko chupana...

    This peotry is the "The Perfect Example."

    Here you have described true love and emotions so beautifully!!!

    ReplyDelete
  2. I did not know that anyone can inspire ,influence, and motivate someone so profoundly..I find reflections of my heart in your poems...keep writing ..

    ReplyDelete
  3. Maana har jism ka anjam khaak hai mahshar MEI
    Apne Dil Ko Abhi se patthar kar Lin, ya rehne dun

    Absolute gem...

    ReplyDelete