A FLIGHT OF THOUGHTS


Travelling gives you a lot of time to walk in the garden of memories and string together a garland of words. Sometimes the thoughts are not happy, the words not so soothing.

"Baarishon ka mausam hai 
Kacche gharaunde dhay rahe hain
Kuch puraani imaaraton mein daraar aa gayi hai
Chhoti neenv waale makaan dhansne lage hain
Nichle gharon ke kamron mein paani ghus gaya hai...

Aur chowk pe kuch bacchon ne kaagaz ki kashtiyaan banaayi hain
Bulbuledaar baarish ke paani mein tairti, ithlaati
Naali se naale tak daurti
Bacchon ke haseen chhote khwaab liye
Kaagaz ki ghulti kashtiyaan...

Main dekh raha hun
Hanste bacchon ke geele chehre
Aur unko dekhti kisi ki maayus sookh chuki aankhen...

No comments:

Post a Comment